Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_488b7bc3646789b531bf56eacac2f2eb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Apni Aankh Bhi KHwabon Se Dho Nahin Paya - KHalid Malik 'Sahil' Poetry In English - Darsaal

Main Apni Aankh Bhi KHwabon Se Dho Nahin Paya

main apni aankh bhi KHwabon se dho nahin paya

main kaise dunga zamane ko jo nahin paya

shab-e-firaq thi mausam ajib tha dil ka

main apne samne baiTha tha ro nahin paya

meri KHata hai ki main KHwahishon ke jangal mein

koi sitara koi chand bo nahin paya

hasin phulon se diwar-o-dar sajae the

bas ek barg-e-dil aasa piro nahin paya

chamak rahe the andhere mein soch ke jugnu

main apni yaad ke KHeme mein so nahin paya

nahin hai harf-e-tasalli magar kahun 'sahil'

nahin jo paya kahin yar to nahin paya

(351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apni Aankh Bhi KHwabon Se Dho Nahin Paya In English By Famous Poet KHalid Malik 'Sahil'. Main Apni Aankh Bhi KHwabon Se Dho Nahin Paya is written by KHalid Malik 'Sahil'. Read famous Poem Main Apni Aankh Bhi KHwabon Se Dho Nahin Paya for youth and Student by KHalid Malik 'Sahil'. Free Download Main Apni Aankh Bhi KHwabon Se Dho Nahin Paya in PDF.