Kisi Bhi Rah Pe Rukna Na Faisla Kar Ke
kisi bhi rah pe rukna na faisla kar ke
bichhaD rahe ho meri jaan hausla kar ke
main intizar ki haalat mein rah nahin sakta
wo intiha bhi kare aaj ibtida kar ke
teri judai ka manzar bayan nahin hoga
main apna saya bhi rakkhun agar juda kar ke
mujhe to bahr-e-bala-KHez ki zarurat thi
simaT gaya hun main duniya ko rasta kar ke
kisi KHayal ka koi wajud ho shayad
badal raha hun main KHwabon ko tajraba kar ke
kabhi na faisla jaldi mein kijiye 'sahil'
badal bhi sakta hai kafir wo bad-dua kar ke
(361) Peoples Rate This