Be-maza Thi Jo Bad-maza Kar Di
be-maza thi jo bad-maza kar di
zindagi aap ne saza kar di
ek parda tha dosti kya thi
baaton baaton mein narawa kar di
tu ne wada kiya tha jis din ka
dil ne us sham intiha kar di
tere hisse ka intizar kiya
phir namaz-e-wafa ada kar di
dekh kar bhi mujhe nahin dekha
gawayya rishte ki ibtida kar di
taire wade teri amanat hain
par wo taswir jo chhupa kar di
aaj bhi shauq hai jalane ka
tu ne tahrir bhi jala kar di
(353) Peoples Rate This