Rang-o-ramish Zamzame Gul-ha-e-tar Hote Hue
rang-o-ramish zamzame gul-ha-e-tar hote hue
dil akela aur itne ham-safar hote hue
aansuon se sard ho jati hai har sine ki aag
mera dil aatish-kada hai chashm-tar hote hue
dil ki duniya mein andhera ho to kuchh raushan nahin
aankh chashm-e-sang hai shams o qamar hote hue
chashm aage ek chehra panw go chakkar mein hain
dar-ba-dar hota nahin dil dar-ba-dar hote hue
hausla TuTa to wo ibrat ka manzar aa gaya
uD nahin paya parinda baal-o-par hote hue
nisf duniya bhuk se aur pyas se maghlub hai
dast o bazu zehn o dil lal-o-gohar hote hue
har kas-o-na-kas pe kar leta hai fauran e'tibar
be-KHabar kitna hai 'KHalid' ba-KHabar hote hue
(441) Peoples Rate This