KHata Gaya Jo Nishana Kaman Badalta Hai
KHata gaya jo nishana kaman badalta hai
nahin tamiz-e-rihaish makan badalta hai
kahani ye thi ki sab sath mil ke rahte hain
phir is ke baad achanak saman badalta hai
hum us ki rah mein aankhen bichha ke dekh chuke
magar wo jaan ka dushman kahan badalta hai
amir-e-shahr tanawwo-pasand hai 'KHalid'
libas-e-nau ke mutabiq zaban badalta hai
(413) Peoples Rate This