Hunar-mandi Se Jine Ka Hunar Ab Tak Nahin Aaya
hunar-mandi se jine ka hunar ab tak nahin aaya
safar karte rahe tarz-e-safar ab tak nahin aaya
ghalat hai tere ashkon mein asar ab tak nahin aaya
tujhe rona ai meri chashm-e-tar ab tak nahin aaya
hazaron falsafi qabza kiye baiThe hain zehnon par
mere qabu mein ya-rab mera sar ab tak nahin aaya
paDa rahta hai har dam KHauf ka saya rag-e-jaan par
koi be-KHauf lamha be-KHatar ab tak nahin aaya
hamare sar pe hai saya-fagan ummid ka suraj
hamari rah mein koi shajar ab tak nahin aaya
hamein to qafiya-paimai karna bhi nahin aata
baDa fan hai jo aa jata magar ab tak nahin aaya
wo kahte hain duaen ba-asar hoti hain 'KHalid' ki
main kahta hun koi zer-e-asar ab tak nahin aaya
(598) Peoples Rate This