Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b9c44385519ea0a9ef1fc6d981693175, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fikr-e-sud-o-ziyan Mein Rahna Hai - Khalid Mahmood Poetry In English - Darsaal

Fikr-e-sud-o-ziyan Mein Rahna Hai

fikr-e-sud-o-ziyan mein rahna hai

bas yahi is jahan mein rahna hai

ek kashakash si jaan mein rahna hai

jab talak dastan mein rahna hai

har taraf aasman phaila hai

sab ko ek saeban mein rahna hai

kal kyun girta hai aaj gir jae

kaun sa is makan mein rahta hai

kitni aasaniyan mayassar hain

kitna mushkil jahan mein rahna hai

kamra-e-imtihan hai duniya

har ghaDi imtihan mein rahna hai

phir lagai sabil aankhon ne

phir se aab-e-rawan mein rahna hai

aab o gil aatish o hawa hain hum

aur isi KHandan mein rahna hai

zindagi puchhte ho kya mujh se

qahqahon ka fughan mein rahna hai

fikr har kas ba-qadar-e-himmat-e-ust

hum ko hindostan mein rahna hai

sansen maghmum ho gain sun kar

'KHalid'-e-KHasta-jaan mein rahna hai

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr-e-sud-o-ziyan Mein Rahna Hai In English By Famous Poet Khalid Mahmood. Fikr-e-sud-o-ziyan Mein Rahna Hai is written by Khalid Mahmood. Read famous Poem Fikr-e-sud-o-ziyan Mein Rahna Hai for youth and Student by Khalid Mahmood. Free Download Fikr-e-sud-o-ziyan Mein Rahna Hai in PDF.