Wo Jo Etibar-e-jamal The Wo Kahan Gae
wo jo e'tibar-e-jamal the wo kahan gae
wo jo aap apni misal the wo kahan gae
kabhi har taraf koi dilkashi si muhit thi
usi dasht mein jo ghazal the wo kahan gae
kahin ek pal ko bhi tu nazar nahin aa raha
gham-e-dil tere mah-o-sal the wo kahan gae
wo jo KHwab le ke chale the hum wo kahan gaya
wo jo us ke gham mein niDhaal the wo kahan gae
kabhi pahron us ka bas ek usi ka KHayal tha
wo jo hijr the jo visal the wo kahan gae
kabhi pahle jab wo mila tha waisa nahin raha
kai rang us mein kamal the wo kahan gae
ye jo log mere qarib hain ye kahan ke hain
wo jo husn-e-KHwab-o-KHayal the wo kahan gae
(448) Peoples Rate This