Tujhe Pa Kar Bhi Jab Koi Kami Mahsus Hoti Hai
tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai
to phir ye sans bhi rukti hui mahsus hoti hai
jo kahna hi nahin us ka ishaara kyun diya jae
ki aisi baat to kuchh aur bhi mahsus hoti hai
adim-ul-fursati shiddat se us ka yaad aa jaana
ghanimat hai agar ye tishnagi mahsus hoti hai
palaT kar aa gae ho tum to kyun aae nahin lagte
tumhaari aankh mein kyun gard si mahsus hoti hai
wagarna bojh hai jis ko liye phirna hai kandhe par
karen mahsus to ye zindagi mahsus hoti hai
shajar wo bhi jise sincha ho apna KHun de de kar
kabhi us ki bhi chhanw ajnabi mahsus hoti hai
ye mere KHwab hain jo saya karte hain mere sar par
mujhe is dopahar mein chhanw si mahsus hoti hai
kisi ki guftugu ke darmiyan aksar na jaane kyun
kahin gahri si koi KHamushi mahsus hoti hai
zamin teri tarah main bhi safar mein hun ki jaise tu
kabhi Thahri nahin Thahri hui mahsus hoti hai
(396) Peoples Rate This