Shab Ke Hathon Gira Aur Kahin Rah Gaya
shab ke hathon gira aur kahin rah gaya
chand phir be-falak be-zamin rah gaya
chalte rahte to milne ka imkan tha
jo jahan ruk gaya wo wahin rah gaya
KHud ko khoe hue kya kise DhunDte
tum kahin rah gae main kahin rah gaya
kaun rakkhe hisab-e-shab-o-roz jab
shab kahin rah gai din kahin rah gaya
kho gaya jo bhi zad-e-safar pas tha
KHwab oDhe hue ek yaqin rah gaya
tum mile hi kahan milne jaise mujhe
main jahan tha wahin ka wahin rah gaya
sab guzarta gaya sab guzarne diya
phir bhi kya kya na dal ke qarin rah gaya
main uThae hue ye badan chal paDa
dil bhi raazi tha phir bhi wahin rah gaya
baad muddat ke ab sochna bhi hai kya
pas kya rah gaya kya nahin rah gaya
(399) Peoples Rate This