Mubtala KHud Ko Kisi Gham Mein Musalsal Rakhna
mubtala KHud ko kisi gham mein musalsal rakhna
aur us gham ko teri aankh se ojhal rakhna
chand khiDki mein kabhi dhup mein baadal rakhna
dhyan rakhna jo kisi ka to har ek pal rakhna
chalna sikha hi nahin rah se haT kar hum ne
ek qadam us ki taraf ek su-e-maqtal rakhna
dekhna mand na paD jaen gham-e-hijr mein ye
tum shab-e-wasl ka in aankhon mein kajal rakhna
ek zara baat se is jaan pe ban aati thi
ras aaya bhi to gham se ise bojhal rakhna
jis ko kahna tha usi ko nahin kahna aur phir
kaise andeshon mein KHud ko yunhi pagal rakhna
aisa lagna ki ye aankhen to barasti hi nahin
sail-e-gham se magar andar koi jal-thal rakhna
hum to is arsa-e-hasti mein jhulaste hi rahe
na hua dhup mein ek KHwab ka baadal rakhna
(429) Peoples Rate This