Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d6c7313511b6fe9951308a1986f0f42d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Paikar Hai Ki Imsal Mein Aata Hi Nahin - Khalid Mahmood Zaki Poetry In English - Darsaal

Ek Paikar Hai Ki Imsal Mein Aata Hi Nahin

ek paikar hai ki imsal mein aata hi nahin

jaise aaina KHad-o-KHal mein aata hi nahin

aasman ka ye qafas qaid kare bhi kaise

dil wo panchhi ki par-o-baal mein aata hi nahin

hum jise dekhte hain us ke alawa bhi hai

ek zamana jo mah-o-sal mein aata hi nahin

apne rahne ko bhi kiya shahr mila hai jis ka

haal ye hai ki kisi haal mein aata hi nahin

manta kab hai kisi sud-o-ziyan ko ye dil

aisa wahshi hai kisi chaal mein aata hi nahin

(415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Paikar Hai Ki Imsal Mein Aata Hi Nahin In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Ek Paikar Hai Ki Imsal Mein Aata Hi Nahin is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Ek Paikar Hai Ki Imsal Mein Aata Hi Nahin for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Ek Paikar Hai Ki Imsal Mein Aata Hi Nahin in PDF.