Bana Bana Ke Aks KHadd-o-Khaal Rakh Diye Gae
bana bana ke aks KHadd-o-KHal rakh diye gae
ki aaine haTa diye KHayal rakh diye gae
jo baat qatl ki gai wahi to ek baat thi
suKHan-sara-e-waqt mein malal rakh diye gae
koi na KHud ko pa sake ye aur baat hai magar
kami kaji ke rang mein kamal rakh diye gae
kabhi jo ek shahr tha qafas bana diya gaya
jahan bhi rakkhe ja sake the jal rakh diye gae
daraKHt kaT kaT kar kushadgi to ki gai
saron pe jalti dhup ke wabaal rakh diye gae
kabhi jo haq diya gaya to is tarah diya gaya
ki faisle ke darmiyan sal rakh diye gae
dilon ko chhu gai thi jo wo tazgi nahin rahi
bhale se ab suKHan mein sau kamal rakh diye gae
mohabbaton mein chahiye thi puKHtagi so is liye
firaq rakh diye gae visal rakh diye gae
wo shahr be-misal tha wo shahr la-zawal tha
phir us ki inT inT mein zawal rakh diye gae
(367) Peoples Rate This