Ashkon Se Dhul Ke Aaina-KHana Badal Gaya
ashkon se dhul ke aaina-KHana badal gaya
barish hui to mausam-e-rafta badal gaya
jab bhi sambhaala chand ne barbaad shahr ko
diwar-o-dar wahi rahe naqsha badal gaya
ek dasht-e-be-aman mein safar kar rahe the hum
sansen ukhaD gain kabhi rasta badal gaya
utri nazar se gard to manzar kuchh aur tha
yun lag raha tha jaise wo chehra badal gaya
har bar pahunche hum tere mear tak magar
har bar tera hum se taqaza badal gaya
pahle to intiqam ne shal kar diye hawas
phir jaane kya hua ki irada badal gaya
is bar tere harf-e-tasalli na bin sake
is bar teri baat ka lahja badal gaya
kam kam raha tha din ke samay dil mein tera aks
shab aa gai to jaise ye shisha badal gaya
(403) Peoples Rate This