Aankhen Asir-e-KHwab Thin KHwab Ek Hi Se The
aankhen asir-e-KHwab thin KHwab ek hi se the
har ek jaan pe ab ke azab ek hi se the
rah-e-wafa-e-shauq mein wamandgi ke baad
jo bhi mile the KHar-e-gulab ek hi se the
bainassutur un ke maani juda na the
jitne bhi muKHtalif the nisab ek hi se the
wo to kahin nahin the jinhen DhunDhta tha main
jo rah gae the zer-e-naqab ek hi se the
kis kis se aur puchhte us shahr ka pata
wo jo hamein mile the jawab ek hi se the
barse to wo bhi pyas ki shiddat baDha gae
mere liye to sare sahab ek hi se the
(418) Peoples Rate This