JhuT HonTon Pe Bila-KHauf-o-KHatar Aaya Hai
jhuT honTon pe bila-KHauf-o-KHatar aaya hai
muddaton shahr mein rah kar ye hunar aaya hai
sang-bazon ko KHuda jaane KHabar kaise hui
ek diwana sar-e-rahguzar aaya hai
jab bhi Thahre hue pani ki tarah marne laga
kaam usi waqt mera azm-e-safar aaya hai
main bhi choukas tha har ek war se pahle us ke
jis taraf se bhi wo aaya hai nazar aaya hai
shahr se lauT to aaya hai magar lagta hai
tera 'KHalid' kisi tufan se guzar aaya hai
(427) Peoples Rate This