Lahu Ko Zoom Karte Hain
dariche se jahan tak bhi nazar aata hai
musalsal KHamushi hai
saDak ki pili lakir
sar piTti hai
dur tak foot-path par raunde hue sae
poll par bijli ke khambe se laTakti ek chamgadaD
subh ka zard chehra raat ke andoh ka ahwal ek chaupaya
aur nukkaD par khaDe ho tum
musalsal KHamushi hai
dariche se jahan tak bhi nazar aata hai
musalsal KHamushi hai
mere kamre ke andar
han magar tariKH raushan hai
hazaron sal ke tajrabe banhen pasare aise baiThe hain
ki jaise shahr bhar ki KHamoshi se mutmain hun
mere computer ki Desktop
kal ki ek taswir apni kahani bolti hai
na jaane kyun ye manzar dekhte hi
saDak par phir shor o girya jag uThta hai
saron ki bhiD ugti hai
rawan rahte hain sae
ba-juz is ke musalsal KHamoshi hai
magar dil chahta hai KHamoshi ko aise toDun
tumhaare pas jaun
aur kahun banduq ko niche karo
aao na meri Desktop par kal ka photo tum bhi dekho
tum bhi dekho
main lahu ko zoom karta hun
(467) Peoples Rate This