Safar Tamam Hua Gard-e-justuju Bhi Gai
safar tamam hua gard-e-justuju bhi gai
teri talash mein nikli to aarzu bhi gai
ek intizar sa tha barf ke pighalne ka
phir us ke baad to ummid-e-abju bhi gai
talab ki rah mein aise bhi moD aae hain
ki harf-o-saut gaya shoKHi-e-gulu bhi gai
ye barg-o-bar kahan jazib-nazar Thahre
tumhaare baad to phulon se rang-o-bu bhi gai
kuchh aise KHak uDai hai dasht-e-hu mein 'jamal'
ki jazb-e-shauq bhi tafriq-e-ma-o-tu bhi gai
(4047) Peoples Rate This