KHayal-o-KHwab Se Niklun Zuhur Tak Dekhun
KHayal-o-KHwab se niklun zuhur tak dekhun
safar ke daere toDun ubur tak dekhun
mere liye hain ye haft-asman-o-haft-zamin
to kis liye tere jalwe main tur tak dekhun
samajh saka hun tujhe bas shuur ki had tak
ye fikr hai ki tujhe la-shuur tak dekhun
ragen chaTaKH gain rishton ki shorishen kaisi
sada lahu ki jo aae to dur tak dekhun
ulajh na jaun kahin reshmi KHayalon mein
tera 'jamal' pas-e-rang-o-nur tak dekhun
(479) Peoples Rate This