Ishq Hai Wahshat Hai Kya Hai Kuchh Pata To Chahiye
ishq hai wahshat hai kya hai kuchh pata to chahiye
kya kahun main us se aaKHir muddaa to chahiye
darguzar kar mere malik tu nazar aata nahin
sar jhukane ke liye koi pata to chahiye
raat ki palken bhi KHali ghar ke aangan ki tarah
raushni ke waste koi diya to chahiye
sar-KHamida shahr mein us ke harim-e-naz tak
bu-e-gul ke waste dast-e-saba to chahiye
KHat-kashida sari tahriren usi ke nam hain
harf-e-haq ko izn de saut-o-sada to chahiye
raat ki shaKHon pe kuchh KHwabon ke gul-buTe saja
jagti aankhon ko aaKHir aasra to chahiye
(405) Peoples Rate This