Aashnai Hi Sahi Apni Talab Koi To Ho
aashnai hi sahi apni talab koi to ho
is dayar-e-ghair mein bhi ham-nasab koi to ho
shor ghar tak aa gaya hai kucha-o-bazar ka
kuchh to aisa ho yahan pe mohr-e-lab koi to ho
karb-e-tanhai liye aaKHir kahan tak jaiye
hadisa hi ho agarche be-sabab koi to ho
saz ke TuTe hue taron ko phir se joDiye
naghma-e-KHush-rang ya soz-e-tarab koi to ho
shaKH se TuTe hue patte bahut mayus hain
ek chingari sahi un ka bhi ab koi to ho
(420) Peoples Rate This