Tum To Bas Lashen UThane Ke Liye Zinda Ho
tum ko nobel ki zarurat hi nahin hai baba
koi eazaz koi taKHt koi taj-e-shahi
koi tamgha nahin duniya mein tumhaare qad ka
tum ne is mulk ke logon pe hukumat ki hai
tum ne KHidmat nahin ki tum ne ibaadat ki hai
koi masnad bhi tumhaare liye tayyar nahin
tum kisi aur sataish ke bhi haqdar nahin
lekin aati hai kahin se ye sada-e-bar-haq
jhilmilati hui aankhon ki nami mein tum ho
sab ke dukh-dard ke sathi ho ghami mein tum ho
sab ki KHushiyon mein ho maujud dukhon mein tum ho
sab ki sanson mein mahakte ho dilon mein tum ho
isi KHidmat mein hai poshida tumhaara nobel
tum yahan KHak-nashinon ke numainda ho
sirf bewaon yatimon ke liye kaam karo
tum to bas lashen uThane ke liye zinda ho
(446) Peoples Rate This