KHwatin Ka Bank
sunte hain shahr mein jo KHwatin ka hai bank
parwez ka nahin hai ye parwin ka hai bank
rakkhi hain is liye yahan KHatun manager
is mohkme ko chahiye baatun manager
ladies ittihad jo beganagi se hai
kya jaane KHauf kya unhen mardangi se hai
nok-e-zaban bhi chalne lagi hai zaban ke sath
beTi bhi hai sharik laDai mein man ke sath
har naznin ke samne ek beauty-box hai
baqi rakha hai ghar mein ye thoDa sa aks hai
baiThi hain apne samne gesu sanwar ke
locker mein rakh diya hai dupaTTa utar ke
chaTKHare hain zaban pe nazar mein ishaare hain
har mah-wash ke pars mein imli kaTare hain
jo baat kar rahi hain kamai ke shobe ki
wo head hain lagai-bujhai ke shobe ki
kal sas se zaban ke bal par laDi hain ye
ilm-e-lissniyat mein phd hain ye
khate ki in ko fikr na ledger ki fikr hai
nandon ki ghibaten hain to dewar ka zikr hai
shadi ke baad nuqta banin dash ho gain
pahle jo check-book thin wo ab cash ho gain
har naznin ki umr bhi KHufiya account hai
kya jaane in ki umr mein kitna amount hai
ye husn ka KHazana koi kya dabochega
Daku bhi Daka Dalne se pahle sochega
nakara shauharon ko bhi debit karaie
niswaniyat yahan se credit karaie
(392) Peoples Rate This