KHush-KHurak
KHush hain aise log duniya mein jo KHush-KHurak hain
aur un logon ke dastar-KHwan haibatnak hain
un ke dastar-KHwan pe KHushbu misali chae ki
chaar anDe chhe slice das piyali chae ki
ho gae jab chae ki lazzat se dil-bardashta
kha liye aadha kilo angur baad-az-nashta
jab kahin mauqa mila thoDa sa biscuit kha liya
nosh-e-jaan farma liya phir pan cigarette chhaaliya
dopahar mein chhe chapati chaar anDe omelette
chaar-chhe shami kabab aur ek nahaari ke plate
kofte hasb-e-liyaqat ek lassi ka gilass
kha gae aur pi gae mausuf be-KHauf-o-hiras
dawaton ke jal phailae hue hain har taraf
kah diya khane se pahle hi takalluf-bar-taraf
raat ko thoDi si jelly kuchh murbba aam ka
kuchh papita le liya phir hazme ke nam ka
do paraThe le liye kuchh der sustane ke baad
ik tere aane se pahle ek tere jaane ke baad
(621) Peoples Rate This