Karachi Ke Mushaere Mein Daka
ye kis ne bazm-e-adab ke sukun ko taka
mushaeron mein bhi paDne laga hai ab Daka
mushaere mein Dakaiti ka shauq rakhte hain
hamare ahd ke Daku bhi zauq rakhte hain
adab-nawaz the Daku suKHan-shanas the wo
mere watan ki siyasat ka iqtibas the wo
ajab Dakait the jin ka nasib phuTa tha
jinhon ne shahr ke in muflison ko luTa tha
paDa wo ran ki ek ustad sher bhul gaya
kisi nahif se shaer ka sans phul gaya
bayaz apni kisi ne uchhaal kar rakh di
bajae cash rubai nikal kar rakh di
udhar Dakait sambhaale the gun uDai hui
udhar wo pel raha tha ghazal churai hui
ye kis ne bazm-e-suKHan luT li KHuda jaane
tamam shahr ne pahne hue hain dastane
mushaere mein na sona tha aur na chandi thi
suKHan-waron ki to har chiz hi purani hai
jo sab se qimti shai hai wo sherwani hai
ye apne sher sunate hi phuT lete hain
mushaere ko tarannum se luT lete hain
hamare sher sunen aur sher-bin ho jaen
KHuda kare ki ye Daku bhi samain ho jaen
(450) Peoples Rate This