Karachi Ka Mawasalati Mushaira
ahl-e-adab ne phir ye kiya tajraba naya
shaer mawasalat ki duniya pe chha gaya
mirriKH par mushaera kar lo ki moon par
hum to ab apne sher sunaenge phone par
shaer idhar hai, sadr udhar, samain udhar
main phunk marta hun to bajti hai bin udhar
dulha ko fasle pe rakha hai baraat se
matlab ye hai ki dur raho shaeraat se
America se ghazal jo paDhi hum ne lahr mein
gunji hai us ki dad karachi ke shahr mein
sheron mein aa gaya hai jo maghrib ka rang-e-KHas
mahsus ho raha hai ki shaer hai be-libas
kis haal mein kalam-e-balaghat hua ata
shaer hai bath-room mein same ko kya pata
be-shak mawasalati qadam inqilabi hai
aTke jahan pe kah diya fanni KHarabi hai
shaer ne sher arz kiya rampur se
misra uTha diya hai kisi ne qusur se
shaer ne jab bayaz nikali jahaz mein
gunji hain wah-wa ki sadaen hijaz mein
rocket ki tarah sher gire samain par
shaer hai aasman pe tabahi zamin par
pahle ye hukm tha ki dalael se sher paDh
aur ab ye kah rahe hain mobile se sher paDh
kahte the pahle sher ko misra uTha ke paDh
aur ab ye kah rahe hain ki Dael ghuma ke paDh
kahne lage burai ko dozaKH mein jhonk de
maik se dur hai to receiwer mein bhunk de
jab dad mil rahi thi mujhe samain se
ek sher laD gaya tha kisi mah-jabin se
main ne jo faslon ki ye diwar paT di
sadr-e-girami ne meri line hi kaT di
(540) Peoples Rate This