Bijli Ke Intizar Mein
bahut uchhle wazir-e-tab-kari wo nahin aai
andhere mein ye shab-e-tanha guzari wo nahin aai
kisi ne chaar chhai das martaba kaTa tha galon par
main karta hi raha machchhar-shumari wo nahin aai
hamare ishq ki tajdid mein tha wapDa hail
andhere hi mein zulf us ki sanwari wo nahin aai
hamare mulk mein nur-e-adalat aam karne ko
bahut garja tha adl-e-iftiKHari wo nahin aai
zara si der ko baad-e-bahaari aai thi lekin
taDap uTThe the garmi se bihaari wo nahin aai
mohalle se to sab aae the sham-e-arzu le kar
hukumat ka tha shayad panw bhaari wo nahin aai
kiya santosh ne inkar jab pankhe ko jhalne se
to chhat par so gai mina-kumari wo nahin aai
hamari bebasi ka ab tamasha dekhte kya ho
sitaro tum to so jao hamari wo nahin aai
(467) Peoples Rate This