America Ke Kutte
hum ne dekhe hain wo U-S ke nirale kutte
kaTne wale nahin bhunkne wale kutte
meri mahbuba-e-maghrib ne bhi pale kutte
main sambhaala na gaya us ne sambhaale kutte
silsile pyar ke haiwan se joDe us ne
main to insan hun kutte bhi na chhoDe us ne
god mein le liya madam ne paraya kutta
kabhi chumi kabhi aaankhon se lagaya kutta
baiThna tha jahan shauhar ko biThaya kutta
aaya husband to kahne lagin aaya kutta
is mudaraat pe shauhar ko bhi hirs aati hai
apne hathon se wo buldog ko nahlati hai
har taraf kucha-e-dildar mein zam kutte hain
zulm koi bhi ho arbab-e-sitam kutte hain
hum pe kahte hain imarat ka bharam kutte hain
aur kutte ye samajhte hain ki hum kutte hain
hath mein le ke tab-o-tab jahan-banon ki
rassiyan khinchte rahte hain ye insanon ki
hae wo kutta-shanason ki siyasi chaalen
jo faqat apni baqa ke liye kutte palen
sath kutte ke wo burgar kabhi pizza kha len
aur hamein dekhte hi aiD ki haDDi Dalen
hum se kahte hain zara aur hilao dum ko
dum hilane ka saliqa nahin aata tum ko
ek kutte ne kaha main jo hasin rahta hun
kyun samajhte ho mujhe KHak-nashin rahta hun
jahan A-C ki sahulat ho wahin rahta hun
main koi tisri duniya mein nahin rahta hun
mujh ko khane mein jo KHurak yahan milti hai
wo tere mulk ke logon ko kahan milti hai
hain mere shahr ke kutte jo purane wale
wo hain panjon se mujhe zaKHm lagane wale
Tang alfaz-o-maani mein uDane wale
meri taKHliq ko danton se chabane wale
har ishaat pe meri chaunkte rah jate hain
main guzar jata hun ye bhunkte rah jate hain
(522) Peoples Rate This