Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eac5e3aa8b0270ba2406320ef593bc92, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
ThoDi Si Income Ki KHatir Be-chaaron Ko Mar Diya - Khalid Irfan Poetry In English - Darsaal

ThoDi Si Income Ki KHatir Be-chaaron Ko Mar Diya

thoDi si income ki KHatir be-chaaron ko mar diya

chand DakTron ki haDtalon ne bimaron ko mar diya

america mein T-V-chanel chupke se dar aae the

chal nikle to urdu ke sab aKHbaron ko mar diya

abba-ji ke business se har beTe ne munh pher liya

kursi ki lalach ne kitne lohaaron ko mar diya

har tali par note nichhawar har lai par london ka ticket

lalu-khet ke qawwalon ne fankaron ko mar diya

masnui baalon ka thappaD kafi bhaari hota hai

us ki zulfon ne hil hil ke ruKHsaron ko mar diya

ek wazir-e-azam hai ek bhai wazir-e-ala hai

jamhuri dawedaron ne haq-daron ko mar diya

maghrib ki tahzib ka hamla ab ke itna kari hai

jeans ko sasta kar ke us ne shalwaron ko mar diya

jitne bhi dil-phenk the shaer U-S mein aabaad hue

night-kalbon ki raunaq ne bechaaron ko mar diya

mazduri par jata hun to sher sisakte rahte hain

dollar ki KHwahish ne mere fan-paron ko mar diya

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ThoDi Si Income Ki KHatir Be-chaaron Ko Mar Diya In English By Famous Poet Khalid Irfan. ThoDi Si Income Ki KHatir Be-chaaron Ko Mar Diya is written by Khalid Irfan. Read famous Poem ThoDi Si Income Ki KHatir Be-chaaron Ko Mar Diya for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download ThoDi Si Income Ki KHatir Be-chaaron Ko Mar Diya in PDF.