Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai
miyan-e-hind-o-pakistan ek sarhad ka jhagDa hai
wagarna is imarat ke manare ek jaise hain
karachi ka kitchen ho ya wo dakkan ki rasoi ho
namak ka farq hai baigan baghaare ek jaise hain
pajamon ke design ko badal Dala to kya gham hai
hamari biwiyon ke to gharare ek jaise hain
pareshan-haal hai public magar donon mamalik ke
mirasi cricketer filmi-sitare ek jaise hain
kunware log to har mulk mein aazad phirte hain
magar shadi-shuda qismat ke mare ek jaise hain
barae-aqd-KHwani qaziyon mein farq hai lekin
karachi aur dilli ke chuware ek jaise hain
kunwara aadmi ho ya koi aazad leader ho
jo be-pende ke lauTe hain wo sare ek jaise hain
nikamme rahnuma aur aql se paidal siyasat-dan
hamare ek jaise hain tumhaare ek jaise hain
yahan ka 'KHalid-e-irfan' wahan ke 'rahat-indori'
nire shair hain donon ke sitare ek jaise hain
(384) Peoples Rate This