Main To Ahl Hun Kisi Aur Ka Meri Ahliya Koi Aur Hai
main to ahl hun kisi aur ka meri ahliya koi aur hai
main radif-e-misra-e-ishq hun mera qafiya koi aur hai
jo lughat ko toD-maroD de jo ghazal ko nasr se joD de
main wo bad-mazaq-e-suKHan nahin wo jadidiya koi aur hai
mujhe apne sher ke sariqon se koi gila to nahin magar
jo kitab chhap ke kha gaya wo faraDiya koi aur hai
main tera Cousin tu meri Cousin karen raqs phir sar-e-anjuman
na tera chacha koi aur hai na mera chacha koi aur hai
wo suhag-raat jahez mein sag-e-paltu bhi le aai thi
jo sahar hui to pata chala yahan tisra koi aur hai
hai meri ghazal ka bharam abhi mere narKHare mein hai dam abhi
main jawab-e-shaer-e-asr hun mera TeTua koi aur hai
kisi tajrabe ki talash mein mera aqd-e-sanawi ho gaya
meri ahliya ko KHabar nahin meri ahliya koi aur hai
(985) Peoples Rate This