Kal Hum Ghurur-e-fan Ki Rawani Mein Phans Gae
kal hum ghurur-e-fan ki rawani mein phans gae
ula likha tha misra-e-sani mein phans gae
bach ke nikal gae jo reaya ko bech kar
bad-qismati se bijli o pani mein phans gae
likkhi thin us ke jism pe aisi ibaraten
hum is ghazal ke lafz o maani mein phans gae
majbur ho ke dene lage hijraton ka nam
jab bhi buzurg naql-e-makani mein phans gae
aaKHir mein film-saz heroine ko le gaya
jitne the film-bin kahani mein phans gae
har sal naunihaal ki aamad gawah hai
hum ishq ki yaqin-dahani mein phans gae
urdu ke imtihan mein cheating ke bawajud
'haali' pe note likh diya 'fani' mein phans gae
hum ne to KHud qubul kaha tha KHushi KHushi
ab tak hai gham ki ain-jawani mein phans gae
chacha ko mil gai thin chachi mal-dar si
mamun tamam umr mamani mein phans gae
jo ashk banTte the bane 'mir' o 'josh' o 'faiz'
hum lafz ki shagufta-bayani mein phans gae
(429) Peoples Rate This