Pala Hun Nafrat Ki Aandhiyon Mein Magar Mohabbat Se Munh Na MoDun
pala hun nafrat ki aandhiyon mein magar mohabbat se munh na moDun
hamesha bazu kushada rakhkhun kabhi murawwat se munh na moDun
zamane bhar ki tamam talKHi ho chahe mere lahu mein shamil
purani nakaamiyon se Dar ke nai shararat se munh na moDun
jabin pe nagah paDne wali shikan agar mustaqil hui hai
to zer-e-lab muskuraate rahne ki achchhi aadat se munh na moDun
bura bhala wasta bahar-taur us se kuchh der to raha hai
kahin sar-e-rah samna ho to itni shiddat se munh na moDun
jo dar pe aa hi gai hai 'yasir' to mujh pe lazim hai KHair-maqdam
hazar be-dil sahi par is khurduri haqiqat se munh na moDun
(422) Peoples Rate This