Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd94807dd86e1772875433b07a15094e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Rabt Meri Teri Nabz Dubne Tak Hai - Khalid Iqbal Yasir Poetry In English - Darsaal

Jo Rabt Meri Teri Nabz Dubne Tak Hai

jo rabt meri teri nabz Dubne tak hai

mubaalagha bhi karen to nibahane tak hai

meri hi aarzu-e-dil ka shoabada hai tu

tera wajud faqat sehr TuTne tak hai

irade kitni hi umron ke bandh rakkhe hain

magar nigah ki had apne samne tak hai

tere mizaj ki tabdiliyon se waqif hun

ye mehrbani mere honT kholne tak hai

girah-kusha kabhi sirr-e-jamal tujh pe bhi ho

teri rasai magar ghar ke aaine tak hai

palaT ke aae na aae koi sune na sune

sada ka kaam fazaon mein gunjte tak hai

wo ek baat jo afsana ban gai 'yasir'

kisi ka husn sarapa sarahne tak hai

(435) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Rabt Meri Teri Nabz Dubne Tak Hai In English By Famous Poet Khalid Iqbal Yasir. Jo Rabt Meri Teri Nabz Dubne Tak Hai is written by Khalid Iqbal Yasir. Read famous Poem Jo Rabt Meri Teri Nabz Dubne Tak Hai for youth and Student by Khalid Iqbal Yasir. Free Download Jo Rabt Meri Teri Nabz Dubne Tak Hai in PDF.