Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fd6c7a40ca62632e88042b19cb78e2f2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHatm Kab Hoga Safar Marne Ke Baad - Khalid Iqbal Taib Poetry In English - Darsaal

KHatm Kab Hoga Safar Marne Ke Baad

KHatm kab hoga safar marne ke baad

aur hoga tez-tar marne ke baad

wo samajhna bhi samajhna kya hua

log samjhenge magar marne ke baad

lakh duniya mein ho koi lakh-pati

sab ka hasil hai sifar marne ke baad

ek hi maidan mein leTe hain sab

kya gada kya tajwar marne ke baad

kis qadar bechaargi mein hain paDe

kaise kaise chaara-gar marne ke baad

doston mein munqasim ho jaenge

kor-chashm aur dida-war marne ke baad

(405) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHatm Kab Hoga Safar Marne Ke Baad In English By Famous Poet Khalid Iqbal Taib. KHatm Kab Hoga Safar Marne Ke Baad is written by Khalid Iqbal Taib. Read famous Poem KHatm Kab Hoga Safar Marne Ke Baad for youth and Student by Khalid Iqbal Taib. Free Download KHatm Kab Hoga Safar Marne Ke Baad in PDF.