Kahenge Kis Se Hain KHud Apni Tegh Ke Ghayal
kahenge kis se hain KHud apni tegh ke ghayal
na iKHtiyar pe qabu na jabr ke qail
main KHud hun apni tamanna-farebiyon ka shikar
jo dil pe guzre guzar jae par na tu ho KHajil
hayat waqfa-e-rahat hai rah-rau ke liye
adam se ta-ba-adam hai safar ki ek manzil
nawed-e-alam-e-nau de raha hai sail-e-iram
chhupe hue hain samundar ki tah mein bhi sahil
na baDh saka had-e-idrak se shuur-e-talab
gunahgar hun main apne hauslon se KHajil
hai bar-e-dosh hamare liye bhi sar apna
tumhaare shahr mein phirte hain ab khule qatil
mujhe to sadma-e-furqat se itna hosh na tha
tumhein KHabar hai ye kis ka dhaDak raha tha dil
abhi se garmi-e-aghosh-e-mauj-e-bahr kahan
bahut hai dur abhi to murad ka sahil
wo chaT lete hain kaliyon se qatra-e-shabnam
jinhen samajhte hain duniya mein log dariya-dil
hamin ne dard ko sare jahan ke apnaya
hamin ko log samajhte hain mujrim-o-qatil
muahida bhala sayyaad-o-said mein kaisa
ye ittifaq hai wo bhi hain aaj pa-dar-gil
qalandaran-e-tahi-dast kuchh nahin rakhte
zah-e-nasib agar ho qubul hadiya-e-dil
wo 'qadri' ko samajhte hain jaan-nisaron mein
karam hai un ka faqat hum nahin kisi qabil
(396) Peoples Rate This