Aadmi Bhi Aadmi Ka Raazdan Hota Nahin
aadmi bhi aadmi ka raazdan hota nahin
be KHabar rahta hai lekin bad-guman hota nahin
zahmaten yaksan makan-o-la-makan se kya hua
kya KHalaon se pare bhi aasman hota nahin
hum ki KHud rah-raw bhi hain rahbar bhi hain rahzan bhi hain
wan pahunchte hain jahan par karwan hota nahin
baDh gae iKHwan-e-yusuf se ye iKHwanus-safa
phenk dete hain wahan jis ja kuan hota nahin
hai jarahat-afrin darman-e-dard-e-la-dawa
shoala karta hai sharar-bari dhuan hota nahin
husn-e-be-parda harif-e-tab-e-nazzara nahin
ho nazar ke samne lekin ayan hota nahin
marg-e-be-hangam apne shahr ka mamul hai
log mar jate hain koi nauha-KHwan hota nahin
jo bhi ho jis haal mein hai zindagi us ko aziz
jaan-e-jaan kahne se kuchh jaan-e-jahan hota nahin
be-ada-kari bhi KHamoshi se mar jate hain log
yan pe koi khel mirza saheban hota nahin
(376) Peoples Rate This