Rang KHushbu Aur Mausam Ka Bahana Ho Gaya
rang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya
apni hi taswir mein chehra purana ho gaya
shelf par rakkhi kitaben sochti hain raat din
ghar se daftar ka safar kitna suhana ho gaya
kis qadar shohrat hai in hanste hue lamhat mein
aankh se guzra har ek manzar purana ho gaya
ab meri tanhai bhi mujh se baghawat kar gai
kal yahan jo kuchh hua tha sab fasana ho gaya
yaad aati jab kabhi ehsas ki nilam-pari
ghar ke kale dew ka qissa purana ho gaya
(472) Peoples Rate This