Teri Talab Mujhe Hairan Kyun Nahin Rakhti
teri talab mujhe hairan kyun nahin rakhti
sharik-e-mauja-e-imkan kyun nahin rakhti
main zaKHm zaKHm nahin hun magar masihai
mere badan mein meri jaan kyun nahin rakhti
main jhankne ke liye to na kahta duniya se
ye hoshiyar gareban kyun nahin rakhti
mujadila hi zaruri hai to chaman ka nam
bahaar jang ka maidan kyun nahin rakhti
ajab tarah ki mashaqqat mein Dal deti hai
zamin-e-KHalq mera dhyan kyun nahin rakhti
aziz-tar hai unhen KHwab to shikast-e-KHwab
meri misal pareshan kyun nahin rakhti
(416) Peoples Rate This