Musafir Raste Mein Hai Abhi Tak
musafir raste mein hai abhi tak
nahin pahuncha ujala tirgi tak
gulon mein chand khilne ke ye din hain
magar khilti nahin hai ek kali tak
zara sa dard aur itni dawaen
pasand aai nahin chaaragari tak
barahna jism par do-chaar dhabbe
tamasha dekhte hain ajnabi tak
wo aisi qimti shai bhi nahin thi
luTi to yaad aati hai abhi tak
likha KHanjar se tera nam dil par
hamein aati nahin diwangi tak
use taswir karne ki lagan mein
'ibaadi' bhul baiThe KHud-kushi tak
(475) Peoples Rate This