Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b2aac078a9359940a664a777c196822f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Kabhi Chup Ho Jaane Ki KHwahish Hoti Hai - Khalid Ebadi Poetry In English - Darsaal

Kabhi Kabhi Chup Ho Jaane Ki KHwahish Hoti Hai

kabhi kabhi chup ho jaane ki KHwahish hoti hai

aaise mein jab tir-e-sitam ki barish hoti hai

haal hamara sunne wale jaane kya sochen

yun bhi kaisi kaisi zehni kawish hoti hai

diwaron par kya likkha hai paDh ke batlao

kya aisi baaton par yaro nalish hoti hai

hum is ki tamil mein diwane ban jate hain

dil aaise nadan ki jab farmaish hoti hai

duniya se ek roz hamari baat hui chhup kar

so be-chaari ki ab tak fahmaish hoti hai

ek hi chhat ke niche chaaron wahshi kya baiThe

danaon ne samjha koi sazish hoti hai

yun bhi hum ko shaer-waer kahlana kab tha

sheron mein bhi apne jhuTi danish hoti hai

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Kabhi Chup Ho Jaane Ki KHwahish Hoti Hai In English By Famous Poet Khalid Ebadi. Kabhi Kabhi Chup Ho Jaane Ki KHwahish Hoti Hai is written by Khalid Ebadi. Read famous Poem Kabhi Kabhi Chup Ho Jaane Ki KHwahish Hoti Hai for youth and Student by Khalid Ebadi. Free Download Kabhi Kabhi Chup Ho Jaane Ki KHwahish Hoti Hai in PDF.