Main Dara Nahin Main Daba Nahin Mein Jhuka Nahin Main Bika Nahin
main Dara nahin main daba nahin mein jhuka nahin main bika nahin
magar ahl-e-bazm mein koi bhi to ada-shanas-e-wafa nahin
mere jism-o-jaan pe usi ke sare azab sare sawab hain
wahi ek harf-e-KHud-agahi ki abhi jo main ne kaha nahin
na wo harf-o-lafz ki dawari na wo zikr o fikr-e-qalandari
jo mere lahu se likhi thi ye wo qarardad-e-wafa nahin
abhi husn o ishq mein fasle adam-e'timad ke hain wahi
unhen aitabar-e-wafa nahin mujhe aitabar-e-jafa nahin
wo jo ek baat thi guftani wahi ek baat shunidni
jise main ne tum se kaha nahin jise tum ne mujh se suna nahin
main salib-e-waqt pe kab se hun mujhe ab to is se utar lo
ki saza bhi kaT chuka hun main mera faisla bhi hua nahin
mera shahr mujh pe gawah hai ki har ek ahd-e-siyah mein
wo charagh-e-rah-e-wafa hun main ki jala to jal ke bujha nahin
(3915) Peoples Rate This