Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_99411bedcb59776dc35578eda6aaf350, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagi Mein Kisi RuKH Ka Kisi Dukh Ka Hona - Khalid Ahmad Poetry In English - Darsaal

Zindagi Mein Kisi RuKH Ka Kisi Dukh Ka Hona

zindagi mein kisi ruKH ka kisi dukh ka hona

achchha hota hai safar mein koi apna hona

dard bhi mauj ke manind safar karte hain

achchha rahta hai palak par koi tara hona

Thokaren marne lagta hai lahu nas nas mein

kitna dushwar hai tera mera apna hona

ek hum hain ki tere ho ke bhi aawara hain

apni taqdir hai aawaza-e-sahra hona

kargar kaun raha kar-e-wafa mein 'KHalid'

kis ki qismat mein hai farhad ka tesha hona

(510) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Mein Kisi RuKH Ka Kisi Dukh Ka Hona In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Zindagi Mein Kisi RuKH Ka Kisi Dukh Ka Hona is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Zindagi Mein Kisi RuKH Ka Kisi Dukh Ka Hona for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Zindagi Mein Kisi RuKH Ka Kisi Dukh Ka Hona in PDF.