Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1d4836f67a3de6708f318b97d3f34e8f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ubhri Na Koi Shakl Na Paikar Nazar Aaya - Khalid Ahmad Poetry In English - Darsaal

Ubhri Na Koi Shakl Na Paikar Nazar Aaya

ubhri na koi shakl na paikar nazar aaya

taswir mein rangon ka samundar nazar aaya

ai dost tera shahr bhi hai shahr-e-tilismat

chhukar jise dekha wahi patthar nazar aaya

har shaKHs haqaeq ki kaDi dhup ke Dar se

tane hue auham ki chadar nazar aaya

har shaKHs naya shaKHs tha jab ghaur se dekha

insan ek insan ke andar nazar aaya

main KHwab mein kal raat jise chum raha tha

jaga to usi hath mein patthar nazar aaya

jab bone laga bij KHayalat ke 'KHalid'

har lafz ka daman mujhe banjar nazar aaya

(464) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ubhri Na Koi Shakl Na Paikar Nazar Aaya In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Ubhri Na Koi Shakl Na Paikar Nazar Aaya is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Ubhri Na Koi Shakl Na Paikar Nazar Aaya for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Ubhri Na Koi Shakl Na Paikar Nazar Aaya in PDF.