Sitam-taraaz Talak ZaKHm-ashna Bhi To Ho
sitam-taraaz talak zaKHm-ashna bhi to ho
ufuq ufuq shafaq-e-dard ki hina bhi to ho
KHala-ba-pa hun magar dasht dasht KHak-ba-sar
kuchh apna aap miTane ki intiha bhi to ho
main KHak ban ke faza mein bikhar bikhar jaun
kisi ke panw tale zina-e-saba bhi to ho
hawas ki barf badan se pighal to jae magar
sharar sharar koi paikar kabhi chhua bhi to ho
nazar nazar mein hazaron sawal hain lekin
falak se koi meri samt dekhta bhi to ho
nai ghaDi nae sahra nae ufuq lai
kisi tarah haq-e-ashuftagi ada bhi to ho
barahnagi mera mazhab mera suluk bane
magar badan pe kisi qadr ki rida bhi to ho
meri wafaon ki gahraiyon ka khoj to le
wo bahr-e-husn kabhi zarf-azma bhi to ho
faqat bayan-e-haqiqat nahin hai manzil-e-haq
jihat-shanas wo hai jo jihat-numa bhi to ho
tere siwa bhi kisi ko kahun nadim magar
tere siwa koi shaista-wafa bhi to ho
(425) Peoples Rate This