Rag Rag Ek Tasawwur Ek Umang Bhare
rag rag ek tasawwur ek umang bhare
ek KHushbu phulon mein kya kya rang bhare
fan ki apni mauj dukhon ki apni rau
ek tarkash mein koi kitne KHadang bhare
kaun lakiron ko taswiron mein Dhaale
kis ka lahu ye KHake ye nairang bhare
rang-e-libas ko rang-e-badan se aab mile
gung huruf mein naghmon ka aahang bhare
kis ki aankhen tohmat-e-lams uThaengi
bijli ke tan mein hain kis ke rang bhare
pole pole panw dhare purwai bhi
KHak mein uDte rang ye kis ke sang bhare
kahish ka dariya bhi KHwahish ka ghar tha
pani bharne aae aur nahang bhare
(439) Peoples Rate This