Rabt Kis Se Tha Kise Kis Ka Shanasa Kaun Tha
rabt kis se tha kise kis ka shanasa kaun tha
shahr bhar tanha tha lekin mujh sa tanha kaun tha
main samundar tha magar viran tha sahra ki tarah
mere ghar tak chal ke aata itna pyasa kaun tha
reza-e-sang-e-ana tha rah ka koh-e-giran
baDh ke lag jata mere sine se aisa kaun tha
sath par KHamoshiyon ki gunj hai nauha-kunan
apni gahrai ke dariya mein jo Duba kaun tha
zat aaKHir zat thi shahkar phir shahkar thi
kis ke fan ke waste se kis ko samjha kaun tha
panw dharti par the lekin zehn the aakash par
sab ke sab meri tarah bikhre the yakja kaun tha
kuchh bure the kuchh bhale the KHar kuchh gulzar kuchh
har koi insan tha aaKHir farishta kaun tha
wo bhaDak uTTha to 'KHalid' sochta hi rah gaya
KHub-ru paikar ke andar tund-KHu sa kaun tha
(483) Peoples Rate This