Pyas Lagna Thi Lagi Sarshaar Hona Tha Hue

pyas lagna thi lagi sarshaar hona tha hue

hum ko gharqab-e-sarab-e-dar hona tha hue

hum teri aahaT pe saDkon par nikal aae to kya

hum ko ruswa bar-sar-e-bazar hona tha hue

tere kandhon ke liye sar de ke aaKHir kya gaya

hum ko yun bhi be-sar-o-dastar hona tha hue

tu kahe to apne hathon apni shah-e-rag kaT len

hum ko tere hath ki talwar hona tha hue

KHwab ke aalam mein chalne ka maraz kab ja saka

KHwab hi mein nind se bedar hona tha hue

in saron ki aur in mahlon ki qismat ek thi

sang chalna the chale mismar hona tha hue

ek din 'KHalid' hamein ye swang bharna tha bhara

jhuT gaDhna the ghaDe fankar hona tha hue

(472) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyas Lagna Thi Lagi Sarshaar Hona Tha Hue In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Pyas Lagna Thi Lagi Sarshaar Hona Tha Hue is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Pyas Lagna Thi Lagi Sarshaar Hona Tha Hue for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Pyas Lagna Thi Lagi Sarshaar Hona Tha Hue in PDF.