Nur Nur Zehnon Mein KHauf Ke Andhere Hain
nur nur zehnon mein KHauf ke andhere hain
raushni ke peDon par raat ke basere hain
shahr shahr sannaTe yun sada ko ghere hain
jis tarah jaziron ke paniyon mein Dere hain
nind kab mayassar hai jagna muqaddar hai
zulf zulf andhiyare KHam-ba-KHam sawere hain
dil agar kalisa hai gham shabih-e-isa hai
phul rahiba ban kar ruh ne bikhere hain
ishq kya wafa kya hai waqt kya KHuda kya hai
in latif KHemon ke sae kyun ghanere hain
zauq-e-agahi bhi dekh tauq-e-be-kasi bhi dekh
panw mein hain zanjiren hath mein pharere hain
hu-ba-hu wahi aawaz hu-ba-hu wahi andaz
tujh ko main chhupaun kya mujh mein rang tere hain
toD kar had-e-imkan jaega kahan irfan
rah mein sitaron ne jal kyun bikhere hain
fahm lakh suljhae wahm lakh uljhae
husn hai haqaeq ka kya KHayal mere hain
hum to Thahre diwane bastiyon mein virane
ahl-e-aql kyun 'KHalid' pagalon ko ghere hain
(455) Peoples Rate This