Lab Siye Dekha Karun Socha Karun
lab siye dekha karun socha karun
mere bas mein kuchh nahin main kya karun
rah mein hai dard ka koh-e-giran
kohkan bhi main nahin main kya karun
shahr ke shor-o-shaghab se bhag kar
koi kunj-e-afiyat DhunDa karun
gunjalak maggham sadaon ki tarah
gumbad-e-tanhai mein gunja karun
aur in mubham sadaon ka agar
koi matlab ho to wo likkha karun
aur jab apni samajh mein kuchh na aae
chiKH uTThun kya karun main kya karun
shahar ki viraniyon par nauhagar
ruh ban kar raat-bhar bhaTka karun
(378) Peoples Rate This